Saturday, May 24, 2008

Azab rakhta hoon.

Kaisay kaisay azaab rakhta hooN
Hokay daryaa saraab rakhta hooN.
Kwaab tootay jo koi bhi mairaa
kirchioN ka hisaab rakhta hooN
Aik khat khainchtaa hooN darya par
Naqsh ik zair e aab rakhta hooN.
Apnay dil ki kitaab maiN yaadaiN
Misl e barg e gulaab rakhta hooN.
DooryuoN maiN bhi ik sitaaray ko
Raat bhar humrakaab rakhta hooN.
Baargaah e khayaal maiN Ashraf
Lafz ko baaryaab rakhta hooN.

0 comments: