"Tumhein jab kabhi milein fursatein, mere dil se bojh utaar do
Main bohat dinon se uddaas hoon, mujhe koyee shaam udhaar do
Mujhe apne roop ki dhoop do ke chamak sakein mere khad-o-khaal
Mujhe apne rang mein rang do, mere saare zang utaar do
Kisi aur ko mere haal se na gharz hai na koyee waasta
Main bikhar gaya hoon samait lo, main bigar gaya hoon, sanwaar do
Meri vehshaton ko barha diya hai judaiyon ke azaab ne
Mere dil pe haath rakho zara, meri dharkanon ko qaraar do
Tumhein subah kaisi lagi kaho, meri khawahishon ke dayaar ki
Jo bhali lagi to yahein raho, isay chahaton se nikhaar do
Wahan ghar mein kon hai muntazir ke ho fiker dair savair ki
Bari mukhtasir si ye raat hai, isi chaandni mein guzaar do
Koyee baat karni hai chaand se kisi shakhsaar ki oat mein
Mujhe raaste mein yahein kahein kisi kunj-e-gul mein utaar do"
Saturday, May 24, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


2 comments:
bhai ge kamal kr dia ha yar aap ne.Masha Allah se bht payari collection ha aap ke.chopr@ g to aap k fan kia split ac ho gaya hn.bht khoob really.i m greatly impressed.ballay g bally.
chopr@ g
Lahore Lahore @
Thanks for your comments on my best Ghazal "Fursatain"...
Post a Comment