Saturday, May 24, 2008

Na shikayaten na gilaa kare

"na shikayaten na gilaa karey
koi aisa shakhs hua karey

jo mere liye he saja karey
mujh he se baaten kia karey

kabhi roye jaye vo be panaah
kabhi be tahasha udaas ho

kabhi chupke chupke dabey qadam
mere peechey aakar hansaa karey

meri qurbaten meri chahten
koi yaad kare qadam qadam

main taveel safar main hun agar
meri vaapsi ki dua karey"

0 comments: