Friday, September 19, 2008

ager main door ho jaoon


ager main door ho jaoon

tu palkon ko jhapak daina

ager aansoo giray koi

samhaj jana k wo hu main

hathaili samnay rakhna

k sab aansoo girain us main

jo ruk jaye ga honton par

samhaj jana k wo hu main

kabi jo chand ko daikho

to tum yoon muskura daina

k phir badal bhi a jain

samhaj jana k wo hu main

jo chal jae hawa thandi

to aankhain band kar laina

jo jhonka taiz ho sab say

samhaj jana k wo hu main

jo ziada yaad aaoon main

to tum ro laina g bhar k

agre hichki koi aye

samhaj jana k wo hu main

agre tum bhoolna chaho

mujhay shayad bhula do tum

magar jab saans ayegi

samhaj jana k wo hu main

Thursday, September 18, 2008

Ujaaley apni yaadon kay hamaarey saath rehnay dou




Ujaaley apni yaadon kay hamaarey saath rehnay dou,

Na jaaney kis gali mein zindagi kee shaam ho jaaye,

Chiraagon kee tarah aankhein jalein jab shaam ho jaaye,

Kabhi tou asmaan say chaand utray jaam ho jaaye,,

Tumhaarey naam kee aik khoobsoorat shaam ho jaaye,

Ajab halaat thay yun dil ka sauda ho gya aakhir,

Mohabbat kee haveli jiss tarah nilaam ho jaaye,

Samundar kay safar mein iss tarah avaaz day ham ko,

Havaayein teiz hon aur kashtiyon mein shaam ho jaaye,

Mujhay maloom hai uss ka thikana phir kahaan hoga,

Parinda asmaan chhoonay mein jab nakaam ho jaaye,

Ujaaley apni yaadon kay hamaarey saath rehnay dou,

Na jaaney kis gali mein zindagi kee shaam ho jaaye.

Mujhe Khonay Se Darti Thi


Mujhe Khonay Se Darti Thi
Mujhe Khonay Se Darti Thi

Meri Aankhon Pe Marti Thi

Meri Baton Pe Hansti Thi

Na Janay Woh Ladki Thi Kaisi

Mujhe Khonay Se Darti Thi

Mujhay Jab Bhi Woh Milti Thi

Yahi Har Baar Kehti Thi

Suno!!

Agar Main Bhool Jaoon To

Agar Main Rooth Jaoon To

Kabhi Wapis Na Aoon To

Bhula Pao Gay Yeh Sab Kuch?

Younhi Hanstay Raho Gay Kya?

Younhi Sajtay Raho Gay Kya?

Yahi Batain Hain Bas Uski

Yahi Yaadain Hain Bas Uski

Yahi Chahat Hai Bas Uski

Mujhy Bas Yaad Hai Itna!!!

Mujhay Woh Pyar Karti Thi

Mujhay Khonay Se Darti Thi...!!!