Thursday, January 28, 2010

:::Dil say Wisal-e-Yaar ka armaan b gaya::: [Archive] - www.itdunya.com

"Dil se wisaal-e-yaar ka armaan bhi gaya
Dekha jo ghar udaas to mehmaan bhi gaya

Kar li hai usne phir gham-e-jaana se dosti
Lo apne hath se dil-e-nadaan bhi gaya

Mushkil tha apni raah pe lana usey magar
Tha baat mein khuloos to wo maan bhi gaya

Dikhlaaye kiya bahaar ne josh-e-junoon ke rang
Daaman bacha rahe thy girebaan bhi gaya

Us ki wafa na haasil hui mujhe FAIZ
Main us ke dar pe le ke dil-o-jaan bhi gaya"

Sunday, January 10, 2010

Khwahisho k Angan main

Khwahisho k Angan main Raat din basairy thay
Titlian tumhari thee awr phool mairy thay
Chand aasmanon say jab zameen pe otra tha
Daiknay main raatain theen, asal main sawairy thay
tairy paas basnay ke khaai the qasam laiken
Shehr bhi piyara tha log bhe lutairy thay
lut gaay ham donon to qasoor kis ka hai??
khawahishain bhe tairi theen, Faislay bhe tairay thay

Wednesday, October 28, 2009

تم کو معلوم ہے؟

تم کو معلوم ہے؟


میری راتیں تیری یادوں سے سجی رہتی ہیں
میری سانسیں تیری خوشبو میں بسی رہتی ہیں
میری آنکھوں میں تیرا سپنا سجا رہتا ہے
ہاں میرے دل میں تیرا عکس بسا رہتا ہے


اس طرح میرے دل کے بہت پاس ہو تم
جس طرح پاس ہی شہ رگ کے خدا رہتا ہے
تم کو معلوم بھی شاید یہ کبھی ہو کہ نہ ہو

میرے آنگن میںلگے پھول گواہی دیں گے
میں نے عرصے سے کسی پھول کو دیکھا بھی نہیں
تجھ کو سوچا ہے تو پھر تجھ کو ہی سوچا ہے فقط
تیرے سوا کسی اور کو سوچا بھی نہیں
تم کو معلو م بھی شاید یہ کبھی ہو کہ نہ ہو



امجد اسلام امجد

Monday, August 17, 2009

¤Asasa¤




Kuch waday Qsmain Yadain theen,

Kuch Qehqahe they Fryadain theen,

Kuch Ansu they jo bahaey they,

Kuch dhokay they jo khaae they,

Ab pas hmare kuch b nhi,

Bs Yadon ki Zanjirain hain,

Kuch Rang urri Tsvirain hain,

Kuch Lfz miti Tehrirain hain,

Ek Dil jo deed ka Pyasa hy,

Bs Yehi Mera Asasa hy.


Thursday, August 13, 2009

Jalte honto pe tabassum jo machalta hai kbi

Jalte honto pe tabassum jo machalta hai kbi,
Zakham dhul jate hai sawan jo barasta hai kbi,
May ne socho may tarashay hai khadokhal tere,
Mere bare may bata tu ne b socha hai kbi,
Charhte suraj se kbi tu ne melai hai nazar,
Tu ne kirno ke taraf ghor se daikha hai kbi,
Log pathar may khilate hai omeedo k gulab,
Ye b mumkin hai bata aisa b hota hai kbi,
Tu ne samjha k may lot k ajaunge,
Ankh se bichrha hua ashk b lota hai kbi.

Wednesday, August 12, 2009

Fasla itna barhany ke zaroorat kia the

Fasla itna barhany ke zaroorat kia the
Tujhy muj say root kar jaany ke zaroorat kia the
Ab jo muj sat rooth kar udas rehty ho
Apna hath mairy hath say churaany ke zaroorat kia the
Dunya kab kisi kay gham ko apna gham samajhti hay
Tujay apna gham dunya ko dikhany ke zaroorat kia the
Main aaj tak is bat ko nahi samajh paya Faraz
Jab sath tumhary main tha to tum ko zamany ke zaroorat kia the

mairy sath na chal

Apny kirdar say aari hoon mairy sath na chal
Main to khud apnay pe bhari hoon mairy sath na chal
Mairy mohsin mujhy Qaroon ka khazana na samajh
Main to dar dar ka bikhari hoon mairy sath na chal
Main to zindagi tak ko dao pe laga deta hoon
Main khatarnak jawaari hoon mairay sath na chal

Monday, April 13, 2009

che rana ze guloona sa la raaky

che rana ze guloona sa la raaky
ma la ashna ghamoona sa la raaky
che de malang krama da khpali koosi
da bal pa las khairoona sa la raakay
che tar manzil rasara tlay na she
no bia ashna lasoona sa la raaky
da zargi gham me kamawaly na sham
saqi da dak jamoona sa la raaky